Roun ya hasun teri harkat pe
Ya phir teri tareef karun
Mere dil se tu aise khel gaya
Ab jee na sakun, mar bhi na sakun
Teri zehar bhari do aankhon ki
Mujhe chaal samajh mein na aayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
Sadiyon yeh zamaana yaad rakhega
Yaar teri bewafaayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
Waadon ki laashon ko bol kahaan dafanau
Waadon ki laashon ko bol kahaan dafanau
Khwaabon aur yaadon se kaise tumko mitaau
Kyun na main tujhe pehchaan saka
Sach tera nahi main jaan saka
Tere noor se jo roshan tha kabhi
Uss shehar mein aag lagaayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
Sadiyon yeh zamaana yaad rakhega
Yaar teri bewafaayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
Jis jis ko mohabbat raas aayi
Woh log naseebon waale the
Taqdeer ke haathon haar gaye
Hum jaise jo the
Sunn yaar mere oh harjaayi
Hum thode alag dilwaale the
Par jaisa socha tha humne
Tum waise na the
Tune vaar kiya seedhe dil pe
Aur palak bhi na jhapkaayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
Wafa na raas aayi tujhe oh harjaayi
(Lyrics of Wafa Na Raas Aayee)
Read the full lyrics of Wafa Na Raas Aayee in stylish Hinglish. A deeply emotional heartbreak song expressing betrayal, pain, and lost love.