Saari galiyan teri jagmaga doonga main
Har subah teri khud ko bana doonga main
Saari galiyan teri jagmaga doonga main
Har subah teri khud ko bana doonga main
Tu chalegi jo ghar se nikal ke kahin
Toh raaste mein khud ko bichha doonga main
Khuda jaane mujh mein tu kya dekhti hai
Main tujhme Khuda ka karam dekhta hoon
Khushi jab bhi teri
Ho khushi jab bhi teri main kam dekhta hoon
Khushi jab bhi teri main kam dekhta hoon
Toh phir main kahaan apne gham dekhta hoon
Khushi jab bhi teri main kam dekhta hoon
Toh phir main kahaan apne gham dekhta hoon
Kayi roz tak paani peeta nahi phir
Haan kayi roz tak paani peeta nahi phir
Main jab teri aankhon ko nam dekhta hoon
Khushi jab bhi teri
Ho tu dekhe na dekhe humein gham nahi
Magar tujhko dekhe bina hum nahi
Tu dekhe na dekhe humein gham nahi
Magar tujhko dekhe bina hum nahi
Khayaalon mein har pal hi rehta hai tu
Yeh rehne ko zinda humein kam nahi
Tere saath ke ek lamhe mein bhi main
Tere saath ke sau janam dekhta hoon
Khushi jab bhi
Tujhko kiya yaad, duniya bhulaayi hai
Seene mein aisi lagan ik lagaayi hai
Teri tanhaayi meri jaan pe ban aayi hai
Milne ki maangu duaa, milne ki maangu duaa
Nazar bhar ke jab dekhta hoon tujhe main
Toh zakhmon pe dil ke marham dekhta hoon
Khushi jab bhi teri main kam dekhta hoon
Toh phir main kahaan apne gham dekhta hoon
Khushi jab bhi teri main kam dekhta hoon
Toh phir main kahaan apne gham dekhta hoon
Khushi jab bhi teri
Khushi jab bhi teri
Khushi jab bhi teri
(Lyrics of Khushi Jab Bhi Teri)
Read the full lyrics of Khushi Jab Bhi Teri in stylish Hinglish. A heartfelt romantic song expressing deep love, care, and emotional devotion.