Itni pyaari pyaari baat hai
Muskurane lage hum
Yeh soch ke tum aaoge
Deewaane hue hum
Kabhi hum tujhko nihaare
Kabhi tera naam pukaare
Karenge baith ke baatein
Kabhi hum nadi kinaare
Yeh mausam khoobsurat
Jo humko mil gaya
Tere aane ki khushi mein
Yeh saawan aa gaya
Ishq bharke boondon mein
Pyaar baras gaya
Tere aane ki khushi mein
Yeh saawan aa gaya
Ishq bharke boondon mein
Pyaar baras gaya
Tu jo aayi, raat din ho gaya
Chaand pata nahi kahaan kho gaya
Jugnu tere peeche chalne lage
Aisa laga kuch gazab ho gaya
Chhat par yeh baadal bulaaye mujhe
Paani ki boondein nachaaye mujhe
Baarish mein do hi cheez pasand
Ek tu hai aur garam chai mujhe
Tu mujhko nadi kinaare
Jo milne aa gaya
Tere aane ki khushi mein
Yeh saawan aa gaya
Ishq bharke boondon mein
Pyaar baras gaya
Tere aane ki khushi mein
Yeh saawan aa gaya
Ishq bharke boondon mein
Pyaar baras gaya
Phoolon se keh doon ke barkha kare
Jab bhi woh milne aayenge humein
Panchi bhi aake zameen pe mile
Taare bhi din mein yeh nikla kare
Ho Ranjhon ke ghar se nikalne ka mausam
Chup ke zamaane se milne ka mausam
Barse yeh baadal bheegaaye humein
Lo aaya bahaaron ke khilne ka mausam
Yeh kudrat pe tere aane
Ka nasha chhaa gaya
Tere aane ki khushi mein
Yeh saawan aa gaya
Ishq bharke boondon mein
Pyaar baras gaya
Tere aane ki khushi mein
Yeh saawan aa gaya
Ishq bharke boondon mein
Pyaar baras gaya
(Lyrics of SAAWAN AA GAYA)
Read the full lyrics of Saawan Aa Gaya in stylish Hinglish. A romantic monsoon song filled with love, joy, and the beauty of rain-soaked emotions.