Hmm…
Bekhayalii mein bhii teraa hii khayaal aaye
Kyun bichhadnaa hai zaroorii ye sawaal aaye
Terii nazdeekiyon kii khushii behisaab thii
Hisse mein faasle bhii tere bemisaal aaye
Main jo tumse door hoon
Kyun door main rahoon
Teraa guroor hoon
Aa tu faaslaa mitaa
Tu khwaab saa milaa
Kyun khwaab todd doon oo..
Bekhayalii mein bhii teraa hii khayaal aaye
Kyun judaaai de gayaa tu, ye sawaal aaye
Thodaa saa main khafaa ho gayaa apne aap se
Thodaa saa tujhpe bhii bewajah hii malaal aaye
Hai ye tadpan, hai ye uljhan
Kaise jee loon binaa tere
Merii abb sab se hai ann-ban
Bante kyun ye Khudaa mere hmm…
Ye jo log-baag hain
Junglee kii aag hain
Kyun aag mein jaloon…
Ye nakaam pyaar mein
Khush hain haar mein
Inn jaisaa kyun banun oo…
Raatein dengii bataa
Neendon mein terii hii baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu toh khayaalon mein saath hai
Bekhayalii mein bhii teraa hii khayaal aaye
Kyun bichhadnaa hai zaroorii ye sawaal aaye
Nazar giraa de harr ik manzar
Rett kii tarah bikhar rahaa hai
Dard tumhaaraa badan mein mere
Zehar kii tarah utar rahaa hai
Nazar giraa de harr ik manzar
Rett kii tarah bikhar rahaa hai
Dard tumhaaraa badan mein mere
Zehar kii tarah utar rahaa hai
Aa zamaane aazmaa le rooth’taa nahii
Faaslon se hauslaa ye toot’taa nahii
Naa hai woh bewafaa aur naa main hoon bewafaa
Woh merii aadaton kii tarah chhoot’taa nahii