Tumhare shehar ka mausam bada suhana sa lage
Main ek shaam chura loon, agar bura na lage
Tumhare bas mein ho toh bhool jao mujhe
Tumhe bhulaane mein shayad mujhe zamaana lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulaane mein mujhe zamaana lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulaane mein mujhe zamaana lage
Maana meri hi galti thi iss baar
Kal jo mujhpe fida tha, aaj hai khafa
Yun hi na berukhi, yun hi na udaasi
Seene mein dard uthta hai baar-baar
Tu iss tarah se mere saath bewafai kar
Tu iss tarah se mere saath bewafai kar
Ki tere baad mujhe koi bewafa na lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulaane mein mujhe zamaana lage
Zamaana lage, zamaana lage
Tumhe bhulaane mein mujhe zamaana lage