Jo teri khaatir tadpe pehle se hi
Kya usey aur tadpana o zaalima, o zaalima
Jo tere ishq mein behka pehle se hi
Kya usey aur behkana o zaalima, o zaalima (x2)
Aankhen marhaba, baatein marhaba
Main sau dafa deewana hua
Mera na raha jab se dil mera
Tere husn ka deewana hua
Jiski har dhadkan tu hi ho
Aise dil ko kya samjhaana
O zaalima, o zaalima…
Jo teri khaatir tadpe pehle se hi
Kya usey aur tadpana o zaalima, o zaalima
Saanson mein teri nazdeekiyon ka
Itr tu ghol de, ghol de…
Main hi kyun ishq zaahir karun
Tu bhi kabhi bol de, bol de… (x2)
Leke jaan hi jaayega meri
Qaatil har tera bahaana hua
Tujhse hi shuru
Tujhpe hi khatam
Mere pyaar ka fasaana hua
Tu shamma hai toh yaad rakhna
Main bhi hoon parwaana
O zaalima, o zaalima…
Jo teri khaatir tadpe pehle se hi
Kya usey aur tadpana o zaalima, o zaalima
Deedaar tera milte hi jaise
Chhoot gayi har angdaayi
Tu hi bata de kyun zaalima
Main hi kyun badnaam hui
Kyun is tarah se duniya ke saamne
Karta hai meri ruswaayi
Tera hi kasoor phir bhi
Main hi kyun ilzaam hui
Deedaar tera milte hi jaise
Chhoot gayi har angdaayi
Tu hi bata de kyun zaalima
Main hi kyun badnaam hui