Haste haste har mushkil katt jayegi
Ghabrake khud hi piche hatt jayegi
Jis mathhe ko tune chuma hai oo maa
Kaise uss par koi silwat aayegi
Maa oo meri maa meri jaan oo meri maa
Maa oo meri maa meri jaan oo meri maa
Kya koi ye jaanega kya koi ye samjhega
Kitna gehra hai maa tera mera naata
Shabd fikke fikke saare tere aage
Pyaar karti hain tu pyaar se bhi jyada
Marham kahi aisa nahi jo kaam aa jayein
Tu fukde har dard se aaram aa jayein
Aansu har dam tera aanchal dhundenge
Jaate jaate hi ye aadat jaayegi
Jis mathhe ko tune chuma hai oo maa
Kaise uss par koi silwat aayegi
Maa oo meri maa meri jaan oo meri maa
Maa oo meri maa meri jaan oo meri maa
Ye jo rishte saare hain preet ki diware hain
Sab gharonde banke bigde baari baari
Maa ye duniya kyaa hain mela pal do pal ka
Milne wale saare bichre baari baari
Bas tuhi hai saaya mera jo kho nahi sakta
Tu ferle mujhse nazar ye ho nahi sakta
Main ghabrahu anhoni ke darr se too
Tuhi banke meri takat aayegi
Jis mathhe ko tune chuma hai oo maa
Kaise uss par koi silwat aayegi
Maa oo meri maa meri jaan oo meri maa
Maa oo meri maa meri jaan oo meri maa…