Sandesey aatey hain, humein tadpaatey hain
Jo chitthii aatii hai, woh poochhe jaatii hai
Kii gharr kabb aaogey, kii gharr kabb aaogey
Likho kabb aaogey
Kii tum binn yeh gharr soonaa, soonaa hai
Sandesey aatey hain, humein tadpaatey hain
Jo chitthii aatii hai, woh poochhe jaatii hai
Kii gharr kabb aaogey? kii gharr kabb aaogey?
Likho kabb aaogey?
Kii tum binn yeh dill soonaa, soonaa hai
Yeh dill jo barson se thaa khaalii-khaalii saa
Kisii ke aane se sajaa Diwaalii saa
Jaagey hain darwaazey kisii kii aahat se
Saveraa hotaa kisii kii karvat se
Main sochtaa kartaa hoon yahii tanhaaii mein
Ke chandaa utreygaa merii angnaaii mein
Naseebon waalii ne, kaan kii baalii ne, chauth kii thaalii ne
Aur poochhaa hai mehndii kii laalii ne
Kii gharr kabb aaogey?
Kii gharr kabb aaogey?
Likho kabb aaogey?
Kii tum binn yeh dill soonaa, soonaa hai
Sandesey aatey hain, humein tadpaatey hain
Jo chitthii aatii hai, woh poochhe jaatii hai
Kii gharr kabb aaogey, kii gharr kabb aaogey
Likho kabb aaogey
Kii tum binn yeh gharr soonaa, soonaa hai
Yeh poochho aankhon ke jhalktey paanii se
Bichhadtey hain koii kahaan aasaanii se
Main peechey chhod aayaa, duaaein kartii maa
Kii ussey bhii pyaarii, mujhe yeh dhartii maa
Kisii ne dheerey se kahaa thaa laut aanaa
Main raastaa dekhoongii, mujhe naa tadpaanaa
Jaagtī raaton ne, ankahee baaton ne, adhoorey vaadon ne
Aur poochhaa hai uskii yaadon ne
Kii gharr kabb aaogey?
Kii gharr kabb aaogey?
Likho kabb aaogey?
Kii tum binn yeh dill soonaa, soonaa hai
Badii yaad aatii hai, kisii kii raaton mein
Kalaaii reshamm sii, abhii hai haathon mein
Shaayarii jaisii woh, labon pe rehtii hai
Mohabbatt jaisii woh, ragon mein behtii hai
Jo gudiyon se kheley, woh gudiyaan yaad aayein
Kii baaton-baaton mein usii kii baat aaye
Merey dildaaron ne, galii-bazaaron ne, chitthii-taaron ne
Aur poochhaa hai merey yaaron ne
Kii gharr kabb aaogey?
Kii gharr kabb aaogey?
Likho kabb aaogey?
Kii tum binn yeh dill soonaa, soonaa hai
Ae guzarne waalii hawaa bataa
Meraa itnaa kaam karegii kyaa
Mujhe chhod ke jo chalaa gayaa, usey dhoondh laa
Koī reh-guzarr yaa koī galii
Mujhe aaj takk toh nahii milii
Jo mitaa sake yeh faaslaa
Jo mitaa sake yeh faaslaa
Merii saarii jawaanii le gayaa
Aur aankh mein paanii de gayaa
Jisey dohraaungaa umr bhar
Woh aisii kahaanii de gayaa
Ae guzarne waalii hawaa tujhe
Hai qasam naa rulaa aisey mujhe
Main kahaan se laaun woh dill bataa
Jisey ho qubool yeh alvidaa
Main wapas aaungaa, main wapas aaungaa
Phirr apne gaon mein, pyaar kii chhaon mein
Tarastii aankhon se, kisii kii baahon se, gharr ke raahon se
Kiiyaa jo vaadaa thaa woh nibhaaungaa
Main wapas aaungaa, main wapas aaungaa
Main wapas aaungaa, main wapas aaungaa