Iss Baarish Mein: Yasser Desai & Neeti Mohan

Saawan ki ik bhooli-bisri kahaani
Woh pal, woh lamhe aur aankhon ka paani
Baadal ke shoron mein baarish ki aahat
Bheege labon ki woh kanp-kanpaahat

Un lamhon ko phir jeene ki fariyaad kar raha hoon
Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon
Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Un lamhon ko phir jeene ki fariyaad kar rahi hoon
Is baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon
Is baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon

Mann ko bhigoti alhad yeh boondein
Ehsaas mein tere aankhon ko moondein
Main bheegta hoon chhupaane ko aansu
Dikh jaayein na yeh zamaane ko aansu

Teri baaton se apne dil ko aabaad kar raha hoon
Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon
Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Khushboo liye aayi geeli hawaaein
Kaanon mein kisse tere gungunaayein
Mera haath thaame mujhe takte rehna
Meri fikr mein raat bhar jagte rehna

Dekho zara yeh ithlaate baadal
Kuch iss qadar the hum dono paagal
Mujhe dil ki baatein bataani hain tumko
Baarish mein kas ke bhigaana hai tumko

Un lamhon ko phir jeene ki fariyaad kar rahi hoon
Iss baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon
Iss baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon
Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

(Lyrics of Iss Baarish Mein)
Read the full lyrics of Iss Baarish Mein in stylish Hinglish. A romantic rain song capturing memories, love, and emotional longing through monsoon vibes.

Thanks for visiting our website Lyrics Torch! If you get any mistakes in the lyrics of this song, please get in touch with us through our Contact Us Page. We’ll try to correct the lyrics ASAP.

Song Music Video

Song Credentials

You May Like:

Explore More Songs: