Jai ho, jai ho Shankara
(Bholenath Shankara)
Aadi dev Shankara
(Hey Shivay Shankara)
Tere jaap bina
(Bholenath Shankara)
Chale ye saans kaise bhala
(Hey Shivay Shankara)
Mera karm tu hi jaane
Kya galat hai kya sahi
Tere raaste pe main toh
Aankh band karke chali
Tere naam ki jyot ne
Mera andhera mita diya
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshwara
Srishti ke aarambh se bhi
Pehle tera vaas tha
Ye jag rahe ya na rahe
Teri hi aastha rahe
Kya samay, kya pralay
Dono mein teri mahima
Seepiyon ke andar jaise
Motiyaan basi hoti hain
Mere mann mein Shankara
Tu waise hi basa hai
Mujhe jo lagta tha mera
Woh kabhi tha hi nahi
Arth kya, anarth kya
Sab kuch hai bas tera hi
Tere saamne jhuka hoon
Sar pe haath rakh de tera
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshwara
Chandrama tere maathay pe
Bhasm hai teri baahon mein
Vastra baagh ki chhaal ka
Khadaau tere paon mein
Pyaas kya tujhe hogi
Ganga hai teri jataaon mein
Doosron ke liye hi
Tu sada jeeta raha
Maanga kuch bhi nahi
Bas sabko deta raha
Samudra manthan jab hua
Vish-amrit ka jab tha vichaar
Amrit sab mein baant diya
Vish ka pyala khud piya
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshwara
Rudradev hey Maheshwara
Rudradev hey Maheshwara